Followers

Friday, 24 November 2017

377 अश्क (Ashk)

अश्कों को बाहर निकालना चाहता हूं मैं।
मुझे वज़ह समझ नहीं आती है।
मदहोश होना चाहता हूं मैं।
दुनिया मुझे छोटी नजर आती है।
सोचता हूं जब इसको गहराई से,
धड़कन मेरी रुक जाती है।
कैसे निकालूं मैं इसे और किसके सहारे।
कांधे जो सहारा दें मुझे,
यह उम्मीद मुझे नजर नहीं आती है।
आंधी और तूफान को रोकना चाहता हूं।
तरकीब नजर नहीं आती है।
काश ! मैं होश खो बैठूँ यूं ही।
तकलीफ अब और सही नहीं जाती है।
377 24 Sept 1992
Ashko ko Bahar nikalna Chahta Hoon Main.
Mujhe wajeh samajh nahi aati hai.
Madhosh Hona Chahta Hoon Main.
Duniya Mujhe Jhoothi Nazar Aati Hai.
Sochta Hoon jab isko Gehraai se,
 Dhadkan Meri ruk Jati Hai.
Kaise nikaloo  Main Ise Aur kiske Sahare.
Kandhe vo Sahara Den Mujhe, Yeh Umeed Mujhe Nazar Nahi Aati Hai.
Aandhi Aur Toofan ko rokna Chahta Hoon.,
 Tarkeeb Nazar Nahi Aati Hai.
Kaash main Hosh Kho Baithoon Yunhi .
Takleef ab aur Sahi Nahi Jati Hai.

No comments: