Followers

Tuesday, 11 December 2018

762 उसकी मुस्कुराहट ने सारे गम भुला दिए (Uski Muskurahat Ne saare Gham Bhula Diye)

उसकी मुस्कुराहट ने सारे गम भुला दिए।
मुस्कुराता चेहरा देखकर नाराजगी जाती रही।

आवारा हुए थे उसका प्यार पाने की जिदद्द में।
 उसे खुश देखकर आवारगी जाती रही।

डुबो दिया था खुद को गम के पयालों में।
उसकी मुस्कुराहट देख मयकशी जाती रही।

मिला ना उसका प्यार, तो क्या हुआ।
यह सोच के गम की लाचारगी भी जाती रही।

जिसे तुम चाहो वह भी तुम्हें चाहे ,जरूरी नहीं।
 उसी की खुशी में खुश होने की अदा आती रही।

और भी गम है दुनिया में इस इश्क के सिवा।
यह जाना, तब जाकर यह आशिकी जाती रही।
762 11.51am 6Dec 2018 Thursday

Uski Muskurahat Ne saare Gham Bhula Diye.
Muskurata Chehra Dekhkar narazgi jaati Rahi.

Awara Hue the uska Pyar paane Ki Zid mein.
Usse kush Dekh Ke Awaargi jaati Rahi.

Dubo diya tha Khud Ko Gham Ke Pialon Mein.
Uski Muskurahat dekh ke Meikashii jaati Rahi.


Mila na uska Pyar To Kya Hua.
Ye Soch Ke Gham Ki Laachargi Bhi jaati Rahi.

Jise Tum Chaho Wo bhi Tumhe Chahe ,zaroori nahi.
Usi Ki Khushi Mein Khush hone, Ki Aada Aati Rahi.

Aur Bhi Gham Hain Duniya Mein Iss Ishq Ke Siva.
Yeh Jana ,tab jaake ,Ye Ashiqui jaati Rahi.

No comments: