Followers

Monday, 8 July 2019

971 रस्में (Rasmen)

रस्मों  में ही उलझा रहा मैं।
खुशी के बारे कभी ना सोचा।
चलता रहा उन रस्मों पर मैं,
जिसने पग-पग रस्ता रोका।

मन की खुशी मैं भूल गया।
जैसे जीना मैं भूल गया।
जिन रस्मों पर चलता रहा।
उनसे ही जीवन में मिला धोखा।

किस जमाने की रस्में है यह।
आज जमाना बदल गया है।
क्यों नहीं रस्मों को बदलते।
जिससे हो जाए जीवन चोखा।
8.16pm 8 July 2010 Monday
Rasmon mein hi Uljha raha Mein.
Khushi ke bare Kabhi Na Socha.
Chalta Raha Un rasmo Par Main,
Jisne pag pag Rasta roka.

Mann Ki Khushi Mein Bhool Gaya.
Jaise Jeena Main Bhool Gaya.
Jin rasmo Par Chalta Raha,
Unse hi Jivan Mein Mila Dhokha.

Kis Jamane Ki Rasme hai ye.
Aaj Zamana badal gaya hai.
Kyon Nahin rasmo ko Badalte.
Jisse Hojae Ye Jivan Chokha.

No comments: