Followers

Wednesday 23 May 2018

Z 565 आयेगी मंजिल एक दिन ( Aayegi Manzil Ek Din.)

9788189331894 53095 BookZindgi1

बहुत मेहनत करता हूं फिर भी लक्ष्य छूट जाता है।
 नजर धुंधली नहीं मेरी ,फिर भी निशाना चूक जाता है।

 जब से हुआ हूं पैदा ,मेहनत का ही बस खजाना जमा किया।
हर चीज बस मेहनत से ही मिली, ना कभी किस्मत ने साथ दिया।

चलता रहा मैं फिर भी ,हौसला रख  इस जिंदगी के सफर में।
कभी नहीं की परवाह लोगों की ,कि उन्होंने साथ दिया ना दिया।

चल रहा हूं फिर भी दिल थाम के ,की आयेगी मंजिल एक दिन।
 नहीं सोचता इस बारे में कि वक़्त ने आज तलक साथ ना दिया।

वक्त तो सभी का , आता ही है एक दिन।
 हम उनमें नहीं हैं ,जिन्होंने बीच राह हौसला छोड़ दिया।

छू ही लूंगा मंजिल को ये यकीन है मेरे दिल को।
क्या हुआ जो वक्त ने, आज तलक साथ ना दिया।
565 4.19 pm 23May 2018
 Bahut mehnat karta hoon Phir Bhi Lakshy chhoot jata hai.
Nazar Dundeli nahi Meri ,Phir Bhi Nishana chook jata hai.

Jab Se Hua Hun Paida ,Mehut ka hi bas Khazana Jama Kiya.
Har cheez bas mehnat  se Hi Mili ,Na Kabhi Kismat Ne Saath Diya.

Chalta Raha Phir Bhi Main Hosla Rakh Zindagi Ke Safar Mein.
Kabhi Nahi Ki Parwah logo Ki ,ki Unhone Saath Na Diya.

 Chal raha hoon Phir Bhi Dil Tham Ke Ki Aayegi Manzil Ek Din.
Nahi Sochta is baare mein ki Waqt Ne aaj talak saath Na Diya.

Waqt sabhi Ka Aata Hai Ek Din.
Hum UnMein Nahi Hai Jinhone  beech Raha Hosla Chod Diya.

Chu Hi Loonga Manzil Ko,Ye  Yakeen Hai Mere Dil Ko.
Kya Hua Jo Waqt Ne aaj talak saath Na Diya.

No comments: