Followers

Tuesday 27 November 2018

751 खुशी पाने को (Khushi paane Ko)

खुशी पाने की ललक में ,मैं सब्र करता रहा।
 आएगा खुशी का पल, इस आस में।
उम्र पर बसर करता रहा।

मयखाने में भी जा बैठा कि गम भूल जाऊं।
जाम भर लिए उस खुशी के लिए।
 जाम भी अपना असर करता रहा।

तारूफ़ न जाने कब हो खुशी से।
 मैं उसी के इंतजार में ।
उम्र बसर करता रहा

कहीं भूल ही ना जाऊं गम का साथ पाकर,
 उस खुशी को मैं ,इसलिए ,
महफिल महफिल,उसका जिक्र करता रहा।
2.450pm 26 Nov 2018 Monday

Khushi paane Ki lalak Mein main Sabr Karta Raha.
Aaega Khushi Ka Pal is aas me.
 Umr Basar Karta Raha.

Maekhane Mein Bhi Ja betha ki gum bhul jaon.
 Jaam Bhar liye us Khushi Ke Liye.
Zaam bhi Apna Asar Karta Raha.

 Taruff Na Jane Kab Ho Khushi Se.
Main Usi ke Intezaar mein.
Umar Bsar Karta Raha.

 Kahin bhool hi Na Jaun Gham ka saath paake
Us Khushi Ko Main.
 Is liye Mehfil Mehfil,
 Uska zikar Karta Raha.

No comments: