Followers

Monday, 27 May 2019

U929 नकाब (Naqaab)

नकाब उतरे ,तभी जमाने की नीयत का पता चलता है।
 नकाब पहने हों तो ,नजर कुछ आता जो नहीं।

शर्म अपनी बचाने की वही हिदायत देते हैं।
नकाब उठते ही, जो बेशर्मी से नजरें गड़ा देते हैं।

दूसरों की इज्जत की बड़ी फिक्र रहती है इन ठेकेदारों को।
जो दूसरों की इज्जत मिट्टी में मिला देते हैं।

होते हैं कुछ और ,नज़र ये कुछ और आते हैं।
 यह वो शख्स हैं, जो चेहरे पे चेहरे चढ़ा लेते हैं।

जमाना वाले खुद के लिए कुछ और ,दूसरों के लिए कुछ और नियम रखते हैं।
यह वही हैं जिन पर, जब खुद पे आती है ,तो नियम बदल देते हैं।
3.10 pm 270 May 2019 Monday

Naqaab utre tabhi Zamane Ki Niyat Ka Pata Chalta Hai.
Naqaab Pehne Hon Tu, Nazar kuch Aata Jo Nahi.

Sharm apni bachane ki wahi Hidayat Dete Hain.
Naqaab uthte Hi Jo Besharami Se Nazaren Gada Dete Hain.

Dusron Ki Izzat Ki Badi fikr Rehti Hai In Thekedaaron ko.
Jo dusro Ki Izzat Mitti Mein mila dete Hain.

Hote hain kuch aur ,Nazar ye kuch aur Aate Hain.
Ye vo shaks hain jo Chehre Pe Chehre Chda Lete Hain.

Zamana Vale  Khud Ke liye kuch aur ,dusro ke liye kuch aur Niyam rakhte Hain.
Yeh wahi hain Jin par Jab Khud pe Aati Hai To Niyam Badal Dete Hain.

No comments: