Followers

Sunday 11 August 2019

1005 जपता रहूँ मैं नाम( Japta Rahon Mein Naam)

उस दाता के उपकार से,
पाया है सम्मान।
मेरा कर्म था करना बस,
आगे वो जानी जान।

कर्म से  पीछे ना हटूँ,
 रहे बस इतना ज्ञान।
सही कर्म में करूँ हमेशा,
 रहे हमेशा ध्यान।

सर पर खुदा(रब) का हाथ है,
 वरना मैं नादान।
उसकी पावन दृष्टि से,
 बने मेरा हर काम।

कभी विसारूँ ना उसे,
 जपता रहूँ मैं नाम।
उसके आशीर्वाद से,
होते रहे पूरण काम।
9.45pm 11Aug 2019

Us Data Ke Upkar se,
Paya Hai Samman.
Mera kaam tha karna bus.
Aage Woh Jaani Jaan.

Karam se Piche na Hatoon
Rahe Bus Itna Gyan.
Sahi Karam main Karun Hamesha.
Rahe Hamesha Dhyan

Sar Par Rab Ka Hath hai.
Varna main Nadan.
Uski Pavan Drishti se,
 Bane Mera Har Kaam.

Kabhi  Visaaroon Na Use.
Japta Rahon Mein Naam.
Uske Aashirwad se,
Hote Rahen  Puran kaam.

No comments: